Posts

Showing posts from January, 2008

Happy New Year : Kal aur "Kal"

Thanks a lot to Praveen for writing and sending such a beautiful poem. Thanks to him for permitting me to post it on my blog. *************************************************** For reading convenience: Kal means Yesterday “kal“ means Tomorrow ***************************************************** Kal ki baatein beet gayi Kal Kal ke aage bhi hai ek “kal“ “kal“ naa Kal pe zaaya karna “kal“ le liye bas aage badhna Kal hai yaadon ki parchayi “kal“ hai suraj ki angdai Kal ke liye aansoon kyun bahaane “kal“ mein chhupe kitne hi khazaane Kal jo hua, us par kya bas hai “kal“ mein jeevan ka sukh ras hai Kal ko na sambhav phir laana “kal“ hai tere haath sajaana Kal hai kahaani balidaanon ki “kal“ hai gaatha nirmaanon ki Kal hai ek thaka musaafir “kal“ chhoo lena chahe himgir Par Kal hai guruon ki vaani Aur “kal“ hai chanchal agyaani Kal hai jaise shaant sarovar Pade jo patthar, leher banaye “kal“ hai kal-kal behta jharna Ho unmath bas badhta jaaye Samay par swayam ko setu banao Kal aur “kal“ ko