Happy New Year : Kal aur "Kal"

Thanks a lot to Praveen for writing and sending such a beautiful poem. Thanks to him for permitting me to post it on my blog.

***************************************************
For reading convenience:
Kal means Yesterday
“kal“ means Tomorrow
*****************************************************

Kal ki baatein beet gayi Kal
Kal ke aage bhi hai ek “kal“
“kal“ naa Kal pe zaaya karna
“kal“ le liye bas aage badhna

Kal hai yaadon ki parchayi
“kal“ hai suraj ki angdai
Kal ke liye aansoon kyun bahaane
“kal“ mein chhupe kitne hi khazaane

Kal jo hua, us par kya bas hai
“kal“ mein jeevan ka sukh ras hai
Kal ko na sambhav phir laana
“kal“ hai tere haath sajaana

Kal hai kahaani balidaanon ki
“kal“ hai gaatha nirmaanon ki
Kal hai ek thaka musaafir
“kal“ chhoo lena chahe himgir

Par Kal hai guruon ki vaani
Aur “kal“ hai chanchal agyaani
Kal hai jaise shaant sarovar
Pade jo patthar, leher banaye
“kal“ hai kal-kal behta jharna
Ho unmath bas badhta jaaye

Samay par swayam ko setu banao
Kal aur “kal“ ko aaj milaao
Baith ke “kal“ mein, Kal ko vichaaro
Kal se seekh ke, “kal“ ko sawaaro

Happy new year!!!!!

Comments

Popular posts from this blog

One Year of Parenthood

What’s wrong with team India?

Who should win the world cup!!!